Kanz e Aza

Hum Hussaini Hai

A noha written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

hussain hussain hussain

hum hussaini hai dunya mein phaile huwe


sakhtiyan karbala ki hai jhele huwe

hussain hussain hussain


hum pe saaya wafa aur wafadar ka

dhoop mein jaise saaya ho dewaar ka

sar pe parcham hai sheh ke alamdar ka

har qadam bad rahe hai ye kehte hue

hussain hussain hussain


hai ye dharti agar laal shehbaaz ki

laal shehbaaz ke bhi wali hai ali

sarfarazi isi dar se sab ko mili

wajd mein kyun na har ek qalandar kahe

hussain hussain hussain


khwaja ajmer ho ya nizam o fareed

sheh ke dushman ko kehte hai ye bhi yazeed

sheh ka gham inke maslak mein haq ki naveed

kitne aizaaz inko ye keh kar milay

hussain hussain hussain


haq parasti ke dunya mein haami raho

gar ho mazloom zaalim ko badne na do

zer e khanjar hussaini sada wo suno

aaj bhi jis se zaalim hai dehle hue

hussain hussain hussain


mard wo hai jo waade ko poora kare

zer e khanjar bhi haq baat kehta rahe

sar rahe ya na rahe ghar lutay ya bache

juz tere aur kis mein hai ye hausle

hussain hussain hussain


aandhiyan hum ko roke ye mumkin nahi

moo gham e sheh se moday ye mumkin nahi

rasme gham kaise choday ye mumkin nahi

hum to roz e azal se hi tere hue

hussain hussain hussain


kul e emaan mushkil kusha hai ali

keh rahe hai nusairi khuda hai ali

ye khuda jaanta hai ke kya hai ali

saare ausaaf hyder ke tujh mein milay

hussain hussain hussain


khyber o khandaq o nehrwaan o jamal

zarb e hyder ka koi nahi hai badal

ay zamane kabhi raah e hyder pe chal

tere dil bhi milega ye kehte hue

hussain hussain hussain


hum azadaar hai kitne khuddaar hai

de ke khushiyan jo gham ke talabgaar hai

shadi o gham mein sarwar ke ghamkhwar hai

ek hi naam hai lab kabhi jo hilay

hussain hussain hussain


ashk roke agar hum to phat jaye dil

gar na matam kare hum to kat jaye dil

apne markaz se mehwar se hat jaye dil

teri bazme aza gar na hum ko milay

hussain hussain hussain


haye wo roz e ashoora wo sheh ki behan

dekhti thi ujadta jo apna chaman

khoon e akbar se gul rang tha pairahan

de rahi thi sada ban mein sar peet ke

hussain hussain hussain


teri maadar ka shab ko janaza utha

teri hamsheer balwe mein hai berida

haye tujhko kafan bhi nahi mil saka

zakhm ab tak hamare nahi wo bhare

hussain hussain hussain


ek nanhi si turbat banayi thi jab

bekasi pursa dene ko aayi thi jab

laashe asghar zameen mein chupayi thi jab

daaman e sabr choota na kyun haath se

hussain hussain hussain


koi pooche to abid ke dil se zara

tay safar shaam o kufa ka kaise kiya

betiyan fatema ki thi jab berida

chalne dete na thay paaon ke aabile

hussain hussain hussain


ay rehaan azmi fikr ho bas yehi

matam e sheh mein hone na paaye kami

hai yehi zindagi hai yehi bandagi

mere ajdaad bhi mujh se ye keh gaye

hussain hussain hussain