jhoola tera khaali hai pareshan hai madar
mai haaton ko phailati hoo aaja ali asghar
nazuk hai gala tera tu pyasa bhi bahot hai
aa pesh karoo tujhko mai ashkon ka samandar
mai haaton ko phailati hoo...
jhoola tera khaali hai…
ab raat hui laut ke ghar kyon nahi aaya
jangal hai biyaban hai rona nahi darr kar
mai haaton ko phailati hoo...
jhoola tera khaali hai…
maqtal may to barsaat hai teero ki meri jaan
pani tujhe teeron se pilayenge sitamgar
mai haaton ko phailati hoo...
jhoola tera khaali hai…
maqtal ki hawa kaisi khabar laayi hai beta
sunti hoo ke ek teer laga tere galay par
mai haaton ko phailati hoo...
jhoola tera khaali hai…
masoom mujahid ne ladi jang jo rehaan
hatyaar tha ek teer tabassum ka labon par
mai haaton ko phailati hoo...
jhoola tera khaali hai…