Kanz e Aza

Kaha Sughra ne

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

kaha sughra ne meri jaan ali akbar e man

poora kar do na ye armaan ali akbar e man

laut aao na watan


jab se tum ghar se gaye lutfe azan jaata raha

laut aane ka jo waada tha wo rulwata raha

chand lamhon ki hoo mehmaan ali akbar e man

laut aao na watan

kaha sughra ne...


aisi tanhaai ke tanhaai ko darr lagta hai

aise manzar hai ke beenayi ko darr lagta hai

ghar mujhe lagta hai zindan ali akbar e man

laut aao na watan

kaha sughra ne...


tere hote huwe aabaad thay raste saare

teergi mein bhi thay aangan mein chamakte taare

zindagi hogayi veeran ali akbar e man

laut aao na watan

kaha sughra ne...


tu nahi aata to ek khat hi rawana kar de

mere jeene ka yehi ek bahana kar de

itna kehna to mera maan ali akbar e man

laut aao na watan

kaha sughra ne...


ab na baba se shikayat hai na amma se gila

mai to bemaar hoo bemaar se rishta kaisa

gham ye hai bhooli phupi jaan ali akbar e man

laut aao na watan

kaha sughra ne...


meri aankhon mein tumhe ashk gawara hi na thay

tere bin kaatun ye bemaar ke lamhe kaise

maut hai saamne har aan ali akbar e man

laut aao na watan

kaha sughra ne...


qabre zahra pe bhi ab jaane ki himmat na rahi

ab diya ghar mein jalane ki bhi taaqat na rahi

natawani ka hai toofan ali akbar e man

laut aao na watan

kaha sughra ne...


koi jhoka bhi hawa ka jo idhar aata hai

mujhse pehle mera dil jaanib e dar jaata hai

bas hai aahat pe lage kaan ali akbar e man

laut aao na watan

kaha sughra ne...


kya kabhi socha behan dard se roti hogi

laut ke aao to wo qabr mein soti hogi

hai bahot iska bhi imkaan ali akbar e man

laut aao na watan

kaha sughra ne...


ya to pardes se sughra ka kafan le aao

ya mere jeete huwe apni dulhan le aao

rakho itna to mera maan ali akbar e man

laut aao na watan

kaha sughra ne...


kya koi apna watan chod ke yun jaata hai

shaam ko ghar mein parinda bhi chala aata hai

ay mere ghar ki nigehban ali akbar e man

laut aao na watan

kaha sughra ne...


ghash ke aalam mein bhi rehan tha sughra ka bayan

kya dam e marg sirhane na padhoge quran

ay mere bolte quran ali akbar e man

laut aao na watan

kaha sughra ne...