Kanz e Aza

Maidane Karbala Mein

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

maidane karbala mein wo akbar teri azan

sunkar hussain rodiye mehve fughan thi maa


aayi sehr payame ajal mein dhali hui

maghmoom tere sehre ki ek ek kali hui

zainab tamaam shab rahi sajdon ke darmiyan

maidane karbala mein…


ye wo azan thi jisme tha lehja rasool ka

isme dikhayi deta tha sajda batool ka

isme namaziyon ka musalla tha aasman

maidane karbala mein…


haa is ada ne arsh ka suraj jaga diya

itne dilon mein shaukhe shahadat badha diya

sunkar habeeb ibne mazahir hue jawan

maidane karbala mein…


thi ek azan sehar ki to ek asr ki azan

tha kitna farkh dono azano ke darmiyan

akbar azane asr talak kha chuke sina

maidane karbala mein…


armaan teri shaadi ka poora na ho saka

kanga bandha na mehndi lagi wa musibata

behno ke dil udaas hai nauha kuna hai maa

maidane karbala mein…


bali sakina nayg mein ab kya talab kare

karbobala larazti hai zainab ke bain se

kha kar sina rawana hue tum suye jina

maidane karbala mein....


shaam e ghariban aagayi qaime sulag uthe

bache tamaam khaakh pe pyaase hi sogaye

akbar phuphi ke shaano mein bandti hai reesma

maidane karbala mein…


khanjar talay hussain ne tumko kiya tha yaad

maa zinda laash hogayi akbar tumhare baad

aise gaye ho ghar se ke milta nahi nishan

maidane karbala mein…


hamshakle mustufa thay dilon ka kharaar thay

tum to zaeef baap ka daaro madaar thay

hai tere baad gulshane shabbir mein khiza

maidane karbala mein…


nasir jawani-e-ali akbar ka waasta

nauhe mein apne jis ghadi rehaan ne diya

sar par ridaye zehra hui misle sayeban

maidane karbala mein…