maqtal may khoon se laal hai bano ka nownehaal
maqtal may khoon se…
abroo wohi hussain ke palke hussain ki
tewar wohi hussain ke ankhein hussain ki
aaena-e-jamaal hai bano ka nownehaal
maqtal may khoon se…
sukhe labon ke gird wo chehre ki aab o taab
himmat nahi kisi may koi badke de jawab
shabbir ka sawaal hai bano ka nownehaal
maqtal may khoon se…
allah re wo teri tabassum bhari nigaah
ek aan may safay hi palat di khuda gawah
haybat may ek jalaal hai bano ka nownehaal
maqtal may khoon se…
tera lahoo zameen par girne nahi diya
behte lahoo ko shaah ne chehre pe mal liya
yaqta dame khitaal hai bano ka nownehaal
maqtal may khoon se…
bano ki samt jaye to kis tarha se hussain
palte hai saath baar dar e qaima se hussain
haaton pe nownehaal hai bano ka nownehaal
maqtal may khoon se…
uth'ta hai shore girya jo ek qaimagah se
sab ban ka ban larazta hai bano ki aah se
ek teer se nidhaal hai bano ka nownehaal
maqtal may khoon se…