na pooch karbobala kis tarha basayi gayi
falak rida se lahoo se zameen banayi gayi
saja diya gaya har ek ashk abid ka
rida e arsh se taaron se jab sajayi gayi
na pooch karbobala...
ghuta hai shaam ke zindan may dam sakina ka
kise khabar ye hawa kis tarha chalayi gayi
na pooch karbobala...
bahi hai mashk e sakina se pyaas asghar ki
sabeel pani ki ye kis tarha lagayi gayi
na pooch karbobala...
wo ek diya shab e ashoor jo bujhaya gaya
usi ke sadqe may ye roshni banayi gayi
na pooch karbobala...
kise khabar sar e zainab se li gayi chadar
ahad ke parde may tauheed jab chupayi gayi
na pooch karbobala...
qasam hai asr ki hal min se li gayi awaaz
sada e kun jo ba-roz e azal lagayi gayi
na pooch karbobala...
ye nauha tab kahin jaa kar hua supurd e qalam
naved aankh se jab juwe khoon bahayi gayi
na pooch karbobala...