na ro ay phupi amma
ab na maloom hai sar pe rida nahi hai
tere aun o mohamed na rahe
mere asghar o akbar na rahe
udjad gaye hum haye na ro
kaisi yateemi aayi durr chinte hai
koi na ujde jo hum ujde hai
chalo ghazi se ye kehde
kis shaan se hum thay aaye
ujad gaye hum haye
na ro ay phupi amma...
goonji sada maqtal may sharminda hai
teri rida ka zaamin tha jo haye
darya se laut na paaya
do baazu shaah jo laaye
ujad gaye hum haye
na ro ay phupi amma...
do laashon ko laaye wo zakhmi hai
itne pyase thay wo bacche haye
chalo maaon se ye kehde
do nanhi qabrein banaye
ujad gaye hum haye
na ro ay phupi amma...
toota naiza lekar shaam e ghariban
beti ali ki deti hai pehra haye
bemaar se koi ye kehde
kuch dayr ko wo so jaaye
ujad gaye hum haye
na ro ay phupi amma...
andhiyare may ek maa laash ke tukde
dekh ke kehti thi ay maalik haye
dulha pamaal hua hai
dulhan ko kya samjhaye
ujad gaye hum haye
na ro ay phupi amma...
dukhiya maa maqtal may kis se pooche
dhoondte hai kya zaalim ran may haye
mera baccha nehr hua hai
phir zibha na ho jaaye
ujad gaye hum haye
na ro ay phupi amma...
shaah ke laashe par ye bain thay maa ke
paalne waale mera baccha haye
aise pamaal hua hai
kaise koi dafnaye
ujad gaye hum haye
na ro ay phupi amma...