na ro na ro na ro masoom sakina
zindan may ab yaad na kar baba ka seena
charon simt andhera paas hai nahi koi
ab to ghazi ki bhi aas nahi koi
kaun sune faryadein hai door madina
na ro na ro…
tujhko qaid na milti gar tanhai ki
beemari na badti tere bhai ki
rota khoon ankhon se sajjad kabhi na
na ro na ro…
bibi teri maa ko ek pal chain nahi
zainab o kulsoom ka rukte bain nahi
godh rubab ki ujdi abaad hui na
na ro na ro…
yaad usay baba ki jab tadpati hai
sar apna deewaron se takrati hai
ro ro ke kehti hai dushwaar hai jeena
na ro na ro…