Kanz e Aza

Naam Sakina Rakhna

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Baqar Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

koi surat ho magar narm hi lehja rakhna

apni beti ka agar naam sakina rakhna


sakht awaaz mein hargiz na bulana usko

neend aajaye to seene pe sulana usko

ek lamhe ke liye bhi nahi tanha rakhna

apni beti ka agar...

koi surat ho magar...


godh mein aise uthana ke lage koi gulaab

jaise rakhte thay sakina ko hussain aur rubab

paalna aise sakina ko sakina rakhna

apni beti ka agar...

koi surat ho magar...


jab gayi baali sakina sar e bazaar e jafa

nanhe haathon se chupati rahi chehra apna

usko kirdaar e sakina se shanaasa rakhna

apni beti ka agar...

koi surat ho magar...


imtehan tha jo sakina ki gayi sar se rida

beti lekin na tumhari ho kabhi be parda

yaad har waqt ye ghairat ka taqaza rakhna

apni beti ka agar...

koi surat ho magar...


chid gayi mashk to karti rahi masoom fughan

boond pani ko tarasti rahi shabbir ki jaan

tum kisi haal mein beti ko na pyasa rakhna

apni beti ka agar...

koi surat ho magar...


ek naseehat hai jo baqar ne likhi hai safdar

naam beshak rakho nisbat se rahe dhyan magar

zinda sadaat ki hurmat ko hamesha rakhna

apni beti ka agar...

koi surat ho magar...