suno rozadaron ali murtaza ke
chali taygh sar par ghazab hogaya hai
hai gham ka ye manzar kaho khaak uda kar
ghazab hogaya hai
zamane mein gham ki ghata chaa rahi hai
baqayya se dekho sada aa rahi hai
bata ibne muljim sitam murtaza par
ye dhaaya hai kyun kar ghazab hogaya hai
hai gham ka ye manzar kaho khaak uda kar
ghazab hogaya hai
suno rozadaron...
nabi ki lehad se ye awaaz aayi
lahoo mein hai dooba hua mera bhai
ye ajre risalat diya mujhko kaisa
hua qalb muztar ghazab hogaya hai
hai gham ka ye manzar kaho khaak uda kar
ghazab hogaya hai
suno rozadaron...
hai kufe ki galiyon mein ye aah o zaari
madad kaun haye kare ab hamari
ghareebon yateemon mein hai shor e matam
hai nauha labon par ghazab hogaya hai
hai gham ka ye manzar kaho khaak uda kar
ghazab hogaya hai
suno rozadaron...
ye hasnain zainab se kehte hai ro kar
yateemi ka sadma sahe kaise dil par
hai tanhaai kaisi na baba rahe aur
na hai sar pe maadar ghazab hogaya hai
hai gham ka ye manzar kaho khaak uda kar
ghazab hogaya hai
suno rozadaron...
janaza ali ka utha haye haye
hai ehle aza mein buka haye haye
bapa shor e matam falak par hai baqar
jo kehta hai safdar ghazab hogaya hai
hai gham ka ye manzar kaho khaak uda kar
ghazab hogaya hai
suno rozadaron...