ghul hai ke janasheen e payambar hua shaheed
girya karo batool ka shauhar hua shaheed
ghul hai ke janasheene...
chaaye na kyun andhera sar e chashm e momineen
deen ke falak ka mehr e munawar hua shaheed
ghul hai ke janasheene...
kuffaar ke dilon mein raha khauf ban ke jo
wo mard e jang faatahe khyber hua shaheed
ghul hai ke janasheene...
sajdon ko jis pa naaz hai jannat ko faqr hai
wo ghamgusaar saaqi e kausar hua shaheed
ghul hai ke janasheene...
rab ki riza bana ke rahe manzil e muraad
haq ke safar mein deen ka rehbar hua shaheed
ghul hai ke janasheene...
kaunain mein mahafiz e islam e haq shinaas
azm o wafa o sabr ka paikar hua shaheed
ghul hai ke janasheene...
dast e nabi se jis ko mila deen ka alam
wo meer e kaarzaar ghazanfar hua shaheed
ghul hai ke janasheene...
thay jiske ilm o fahem mein asraar e kayenaat
dunya mein aisa shahid e daawar hua shaheed
ghul hai ke janasheene...
quran jis se kar liya karta tha dil ki baat
aisa musafir aisa sukhanwar hua
ghul hai ke janasheene...
danishwaraan e dehr mein kohraam mach gaya
jab baab e ilm naam e khuda par hua shaheed
ghul hai ke janasheene...
mehrab o masjid o dar o dewaar hai khamosh
bazm e jahan mein saahib e mimbar hua shaheed
ghul hai ke janasheene...
fayyaz zulfeqar e falak kyun na ho malool
aisa shuja'a naazim e lashkar hua shaheeed
ghul hai ke janasheene...