Ghul hai quraasaa'n me barpa waawaila, utthe jahaa'n se aaj raza waawaila
Koun o makaa'n me hashr hai barpa , roti hai marqad me zahra waawaila
Zulm o sitam aada ke sahe waawaila, qabre payambar se choote waawaila
chain na paaya ta dame aaqir, kar gaye dukh me aap qaza waawaila
Naala kuna'n hai paighambar waawaila, rote hai marqad me hyder waawaila
marne se tere dono jahaa'n me, mehshar taaza hai barpa waawaila