boli ghassala bano se ro kar
ghusl kaise mai doon sakina ko
ro padi bibiyan bhi ye sun kar
ghusl kaise mai doon sakina ko
neele rukhsar kyun hai ay bibi
ye giraftaar kyun hai ay bibi
hai rasan ke nishan gardan par
ghusl kaise mai doon...
kya ye tanhaiyon ki maari hai
ab bhi kaano se khoon jaari hai
kya wajah hai jo mar gayi ghut kar
ghusl kaise mai doon...
zakhm khaati thi ashk peeti thi
kis tarha se yahan pe jeeti thi
koi batlade mujhko ye bad kar
ghusl kaise mai doon...
iske honton ki papdiyan dekho
kitni sookhi hai haddiyan dekho
dil ye karta hai ro'un mai is par
ghusl kaise mai doon...
uff ye mayyat ka haal hai kaisa
dekh ke phat'ta hai kaleja mera
royi aurat koi ye keh keh kar
ghusl kaise mai doon...
hai ragon mein to tashnagi paywast
hai qaza mein to zindagi paywast
apna begaana royega is par
ghusl kaise mai doon...
chil gaya zakhmon se badan iska
kaise chipka hai pairahan iska
zakhm itne hai jism e athar par
ghusl kaise mai doon...
doosra kurta tan ka hai ke nahi
koi saaman kafan hai ke nahi
bano se poochti thi wo ro kar
ghusl kaise mai doon...
laash bacchi ki ab uthao to
aray taqt par isko ab litao to
ho ijazat to ghusl doon bad kar
ghusl kaise mai doon...
shams aamir jo jao karbobala
dena jaa ke hussain ko pursa
marsiya dekho padhna ye jaa kar
ghusl kaise mai doon...