hurr sharminda hai aaqa hurr sharminda hai maula
maaf kar do hame ya hussain
haathon ko baandhe saath pisar ke kehta chala ya hussain
maaf kar do hame ya hussain
qaime ke dar par sar ko jhuka kar hurr ne kaha ya hussain
maaf kar do hame ya hussain
mai hoon wo zaalim leke jo aaya karbobala aap ko
ban ke gunehgar aaya hoon dene dar pe sada aap ko
ghutniyon baitha sar ko jhukaye honton pe tha ya hussain
maaf kar do hame...
jab mera lashkar sehra ke andar tha pyaas se jaa balab
abass o akbar aun o mohamed pani pilaate thay sab
meri wajah se haye wo lashkar pyasa raha ya hussain
maaf kar do hame...
bali sakina asghar e naadan ka mai gunah gaar hoon
aale nabi ka dil hai dukhaya aisa sitamgaar hoon
maine kiya hai aap pe maula zulm o jafa ya hussain
maaf kar do hame...
ay mere maula saaqi e kausar itna karam kijiye
is khatawar ki hai ye khatayein sar ko qalam kijiye
haathon ko jode sheh se ye bola dije saza ya hussain
maaf kar do hame...
sheh ke qadam par sar ko jhuka kar rakhe raha dayr tak
aankhon se uski ashkon ka darya behta raha dayr tak
kaise uthaye sar ko wo apne aati haya ya hussain
maaf kar do hame...
ay mere aaqa ay mere maula mai hi khata kaar hoon
be aab jangal mein leke aaya kitna gunhgaar hoon
ay ibne hyder ab bakhsh dije meri khata ya hussain
maaf kar do hame...
kya aap mujhse raazi nahi hai hurr ne ye rokar kaha
mai bhi hoon raazi raazi khuda hai shabbir ne di sada
khush ho ke hurr ne awaaz ye di shukriya ya hussain
maaf kar do hame...
ran ki ijazat de dije pehle mere jawan laal ko
sar ko kataye maidan mein jaa kar izzat mile aal ko
bas aap hi ka ghurbat ke ban mein hai aasra ya hussain
maaf kar do hame...
haathon se apne apne pisar ka laasha uthaunga mai
ghodhe se gir kar jab wo pukare maqtal mein jaunga mai
daaghe jawani ko bhi sahega seena mera ya hussain
maaf kar do hame...
jab uske sar se maqtal ke andar behti thi khoon ki nadi
roomal e zehra sarwar ne baandha hai uski qismat badi
apne ghulamon ko de rahe thay ye martaba ya hussain
maaf kar do hame...
majlis o matam aur nauha khwani mein jo hui ho khata
shams aur aamir ki baksh dije wo sab khata ay khuda
hojaye ye bhi dunya ke andar hurr ki tarha ya hussain
maaf kar do hame...