godhiyon mein sone waali
so gayi zindan mein
bole abid kya bataun
dard ke toofan mein
kis khadar armaan tha
ho kar reha jaaungi ghar
kis khadar khush hogi sughra
mujhko zinda dekh kar
kya khabar thi jayengi ghar
baaliyan saaman mein
godhiyon mein sone waali...
baap ka sar tab mila
jab tan se kuch rishta na tha
godh mein sar le ke boli
haye baba mai fida
kaise rakhun sar tumhare
is jale damaan mein
godhiyon mein sone waali...
karbala se bad ke baba
zulm e qaid e shaam hai
raat din mujhko rulaana
zaalimon ka kaam hai
kab ta'aluq toot jaaye
jism mein aur jaan mein
godhiyon mein sone waali...
qaid e tanhaai hai baba
goke kunba saath hai
mai jahan qaidi hoo baba
din chadhe bhi raat hai
reh rahi hoo baad e ammu
waadi e sunsaan mein
godhiyon mein sone waali...
chand lamhon ki hoo mehman
saath le jaana mujhe
phir na jaane aap ko
kis waqt kab fursat milay
dard hai baba kayi din
se hamare kaan mein
godhiyon mein sone waali...
ek bhai saath hai
wo bhi bada majboor hai
neend jaise door mujhse
wo bhhi mujhse door hai
ab watan jaana nahi
shayad mere imkaan mein
godhiyon mein sone waali...
kis kaleje se padhun
nauha bhala mai shadman
aa gayi hai ek ek
misre pe meri lab pe jaan
soz kis ne bhar diya hai
qaama e rehaan mein
godhiyon mein sone waali...