la ilaah ki jaan hai maula ghazi ka alam
deen ki pehchan kai maula ghazi ka alam
hum ne ghazi ka alam ghar pe saja rakha hai
ghar ko apne maula ka aza khana bana rakha hai
uth'ta hai majlise shabbir mein jo tera alam
har musibat se hamay isne bacha rakha hai
hum ne ghazi ka alam...
aaj bhi parchame abbas ko dekha to kaha
mashk ko seene se ghazi ne laga rakha hai
hum ne ghazi ka alam...
kat gaye baazu alamdar ke darya pe magar
phir bhi islam ke parcham ko utha rakha hai
hum ne ghazi ka alam...
ye sabeelein jo muharram mein nazar aati hai
unpe abbas ne khud daste wafa rakha hai
hum ne ghazi ka alam...
hai tere bhai ki majlis tera matam ghazi
fatema zehra ko mehman bana rakha hai
hum ne ghazi ka alam...
sarfarazi hai ye rehaan hassan sadiq ki
apna sar ghazi ke qadmon mein jhuka rakha hai
hum ne ghazi ka alam...