hussainiyat ka alam hai uncha
nikal ke batil se haq ki janib
kaha ye hur ne bhi misle rahib
na jaane hoga khuda wo kaisa
hai jiska banda husssain jaisa
na ruk saka hai na ruk sakega
hussain ibne ali ka charcha
habeeb karbobala jo pohnche
salaam-e-zainab ko sunke bole
tamache rukh par lagaye khud ke
hai aale ahmed pe waqt kaisa
na ruk saka hai na ruk sakega
hussain ibne ali ka charcha
zamaane wale ye sabr dekhe
jo aaye ran se pisar ke laashe
pisar ke lashou'n ke beech maa ne
kiya hai shukre khuda ka sajda
na ruk saka hai na ruk sakega
hussain ibne ali ka charcha
sada-e-halmin ko sun ke asghar
pider ke hataou pa ran me aakar
gale pa teer-e-sitam ko khakar
ye muskura kar adu se bola
na ruk saka hai na ruk sakega
hussain ibne ali ka charcha
jawaa'n pisar ke jigar se barchhi
na jaane kaise pidar ne khainchi
hai sabr e ayyoob ko bhi sakta
hai kitna saber ali ka beta
na ruk saka hai na ruk sakega
hussain ibne ali ka charcha
kate jo bazu jari ke ran me
kaha ye zainab ne roke ban me ke zalimou ne usey hai maara
jo tha muhafiz meri rida ka
na ruk saka hai na ruk sakega
hussain ibne ali ka charcha
ye jaake maa ko koi sunaye
dulhan ko jaake koi sambhale
aba me sarwar jise hai laaye
wo hai hasan ke pisar ka lasha
na ruk saka hai na ruk sakega
hussain ibne ali ka charcha
bayaa'n ho manzar bhala wo kaise
jo teer barsaaye fouj-e-keen ne
na zeen per tha na tha zamee'n par
hussain ibne ali ka lasha
na ruk saka hai na ruk sakega
hussain ibne ali ka charcha
wo tashnagi aur wo garm sehra aur us pe zehra ka laal tanha
samaa qayamat se kam nahi tha aur uspe shukre khuda ka sajda
na ruk saka hai na ruk sakega
hussain ibne ali ka charcha
ye naam-e-saqqa se anjuman hai
ye matamiye shah-e-zaman hai
rahegi ye hashr tak salamat
zubaan pa inke sada rahega
na ruk saka hai na ruk sakega
hussain ibne ali ka charcha
likhe bhala kaise pal wo ajmal
rawaa'n hai ankhou'n se ashk har pal
kaha ye khanjar ne khud bhi rokar
gulu-e-sarwar bahot hai sukha
na ruk saka hai na ruk sakega
hussain ibne ali ka charcha