Kanz e Aza

Hussain Ibne Ali Ko

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mirza Murtaza Ali. Lyrics in Roman Urdu.

hussain ibne ali ko pukarte jao

qadam qadam pe muqadar sawarte jao


hussain wo ke jo sipte rasoole athar hai

hussain wo ke jo noore nigahe hyder hai

hussain wo ke jo binte nabi ka dilbar hai

hussain ibne ali…


jo haq ke waaste gardan kata diya wo hussain

jo taqt otaaj ko thokar laga diya wo hussain

hukumato ko jo neecha dikha diya wo hussain

hussain ibne ali…


milay hussain to bande ko haq ki zaat mili

milay hussain to islam ko hayaat mili

jise hussain milay usko kayanat mili

hussain ibne ali…


badi khushi se jo akbar ko de diya wo hussain

jo apne haaton pe asghar ko de diya wo hussain

namaze asr mein jo sar ko de diya wo hussain

hussain ibne ali…


sare ghuroore hukumat jhuka diya isne

yazeediyat ko thikane laga diya isne

jahan ko sabr ke jauhar dikha diya isne

hussain ibne ali…


nihaale gulshane emaan ki taazgi hai hussain

charaghe khanaye kaabe ki roshni hai hussain

meine kamale imamat ki chandni hai hussain

hussain ibne ali…


bano hussain ke mehman hurr e jari ki tarha

khade khade na suno naara ajnabi ki tarha

chadao phool akhidat khilo kali ki tarha

hussain ibne ali....


jo ghark hoke lahoo mein ubhar gaya wo hussain

jo sabr o shukr se dil fatha kar gaya wo hussain

jo dard banke jigar mein utar gaya wo hussain

hussain ibne ali…


jo aaj aal ko choray wo kal kare na gilay

ke daare faani ke milte hai aakhibat mein silay

khusha naseeb jo mirza ko ahlebayt milay

hussain ibne ali…