mai mohamed ka lakhte jigar hoo
mujhpe kyon bandh karte ho pani
mai hoo mushkil kusha ki nashani
mai hoo fatema zehra ka jaani
mujhpe kyon bandh karte ho pani
mujhpe kyon…
mai hoo ahmed ke ghar ka ujaala
mai hoo zehra ki godhi ka paala
mujhpe kyon bandh karte ho pani
mujhpe kyon…
kya nabi ka nawasa nahi hoo
kya mai do din ka pyasa nahi hoo
mujhpe kyon bandh karte ho pani
mujhpe kyon…
tashnagi se jigar bhun raha hai
kis liye mujhpe jor o jafa hai
mujhpe kyon bandh karte ho pani
mujhpe kyon…
mai hoo hyder ki aankhon ka taara
mai hoo sarkare aalam ka pyara
mujhpe kyon bandh karte ho pani
mujhpe kyon…
kalmago tum nabi ka mai beta
tum musalman ho mai hoo nawasa
mujhpe kyon bandh karte ho pani
mujhpe kyon…
mere baysheer par rehm khao
kuch to bache to pani pilao
mujhpe kyon bandh karte ho pani
mujhpe kyon…
mirza chalta tha gardan pe khanjar
tha yehi nauha sheh ki zaban par
mujhpe kyon bandh karte ho pani
mujhpe kyon…