qayamat hai ke laashe shaahe deen karwat badalti hai
khule sar ran may binte fatema zehra nikalti hai
haram lut'te hai aur veeran hota hia nabi ka ghar
musalmano ke haaton chadare tatheer jalti hai
qayamat hai ke…
zara aahista kheencho naawake ab teer asghar ka
pidar ke godh may ab gardane baysheer dhalti hai
qayamat hai ke…
bhadak uth'te hai sholay aag lag jaati hai pani may
duhaai hai ke qaime may sakina jab machalti hai
qayamat hai ke…
kahan hai hazrate qasim zara dulhan ko dekho to
ke shab ki byahi apne maang may ab khaak malti hai
qayamat hai ke…
ali asghar ne shayad keh diya ye zer e lab has kar
meri tashnalabi par tashnagi bhi haath malti hai
qayamat hai ke…
gawahi ta qayamat dega ye ashoor ka suraj
qayamat ki tapish zanjeer lohay ki pigalti hai
qayamat hai ke…
namazein dono aalam ki tasadduq tere sajde par
guluye ashadual-la-ilaah par taygh chalti hai
qayamat hai ke…
kahan hai hazrate ayub-o-ibrahim ay mirza
pidar ke saamne kadiyal jawan ki jaan nikalti hai
qayamat hai ke…