qayamat kyun nahi aayi
chini sadaat ki chadar qayamat kyun nahi aayi
phiri aale nabi dar dar qayamat kyun nahi aayi
jala daaman raha khamosh ye charkhe kohan kyun kar
sakina ke chine gauhar qayamat kyun nahi aayi
chini sadaat ki chadar...
wo nazuk sa gala aur hurmala ka teer wo bhaari
tadap ke reh gaye asghar qayamat kyun nahi aayi
chini sadaat ki chadar...
qayaam e umme laila ka wo manzar yaad hai hum ko
huwe rukhsat ali akbar qayamat kyun nahi aayi
chini sadaat ki chadar...
kati sehre ki ladiyan hogaya zakhmi badan saara
hui mehendi bhi khoon may tar qayamat kyun nahi aayi
chini sadaat ki chadar...
guzarta hi raha ek kund khanjar sheh ki gardan se
tadapti hi rahi maadar qayamat kyun nahi aayi
chini sadaat ki chadar...
doham ki subh se qaid e alam ki subhe rukhsat tha
bapa hota raha mehshar qayamat kyun nahi aayi
chini sadaat ki chadar...
ab is se bad ke zehra pe musibat aur kya hogi
khule saydaniyo ke sar qayamat kyun nahi aayi
chini sadaat ki chadar...
lehed pe sheh ki baithe sochte hai dayam o yazdan
luta zehra ka poora ghar qayamat kyun nahi aayi
chini sadaat ki chadar...