qaza ki aakhri hichki badi na-meherban nikli
udhar sughra ka khat aaya idhar akbar ki jaan nikli
nigahein jaanib e qaima thi aur shabbir kehte thay
qayamat hogi qaimon se agar akbar ki maa nikli
qaza ki aakhri hichki...
jigar bhi aa gaya shabbir ke haathon mein bete ka
ali akbar ke seene se akeli kab sina nikli
qaza ki aakhri hichki...
ali akbar ne yun allahu akbar ki sada di thi
qaza ke waqt seene se lahoo ban ker azan nikli
qaza ki aakhri hichki...
akele kis tarha shabbir mayyat ko uthayenge
madad ke waaste zainab bhi zer e asmaan nikli
qaza ki aakhri hichki...
hataya laal ka zakhm e jigar se haath madar ne
khaleel ullah ke lab se sada e al-amaan nikli
qaza ki aakhri hichki...
azan ke waqt se pyase thay naize khoon e akbar ke
qaza ke waqt seene se lahoo ban kar azan nikli
qaza ki aakhri hichki...
mohamed karbala waala moazzin tha mohamed ka
kahan ki dushmani ummat ko thi akbar kahan nikli
qaza ki aakhri hichki...