pukari ghurbate zahra qayamat kyun nahi aayi
madine mein hua kya kya qayamat kyun nahi aayi
giraya sayyeda par jalta darwaza layeeno ne
tadap kar reh gayi zahra qayamat kyun nahi aayi
pukari ghurbate zahra…
ali ko le gaye jab qaid kar ke qaatil e mohsin
laraz kar reh gaya kaaba qayamat kyun nahi aayi
pukari ghurbate zahra…
wo jis bibi ke aane par khade hote thay paighambar
khadi hai aaj wo dukhiya qayamat kyun nahi aayi
pukari ghurbate zahra…
salaam aa aa ke karte thay rasool allah jis dar par
jala jab wohi darwaza qayamat kyun nahi aayi
pukari ghurbate zahra…
jo thi siddiqa e aalam sar e darbar ummat ne
jab us bibi ko jhutlaya qayamat kyun nahi aayi
pukari ghurbate zahra…
lipat kar maa ki mayyat se shahe mazloom kehte thay
saron se uth gaya saaya qayamat kyun nahi aayi
pukari ghurbate zahra…
zafar ab bhi sitam jaari hai bibi par baqayya mein
hua mismaar jab rauza qayamat kyun nahi aayi
pukari ghurbate zahra…