hussain jab ke chale baad do pahar ran ko
na tha koi ke jo thame rakab -e- tausan ko
hussain chup ke khade the jhukaye gardan ko
sakina jhad rahi thi aba ke daaman ko
na aasra tha koi shah -e- karbalai ko
faqad behen ne kiya tha sawar bhai ko
yeh waqt e rukhsate akhir zuban pe tha nouha
palat ke phir nahi ayega mera maajaya
zainab zainab jata hai tera bhai zainab
rukhsat ki ghadi aayi zainab . . . .
1. yun qatl har ek armaan huwa
ek roz mein ghar veeran huwa
kya gham ki ghata chayi zainab
jata hai tera bhai zainab . . . . .
2. yeh kehte huwe dil rota hai
dariya ke kanare sota hai
abbas mera bhai zainab
jata hai tera bhai zainab . . . . .
3. jeene ki koi ab aas nahi
abbas nahi abbas nahi
kismat yeh kahan laayi zainab
jata hai tera bhai zainab . . . . .
4. bachi meri marjaye na kahi
mare na tamache shumr layi
kamsin hai wo dukhpayi zainab
jata hai tera bhai zainab . . . . .
5. aada ne usse wo zulm diya
baithegi na saaye mein dukhiya
bano ne qasam khayi zainab
jata hai tera bhai zainab . . . . .
6. ek qaum wafa ki diwani
ta hashr karegi ghaazi ki
chaukhat pe jabi sayi zainab
jata hai tera bhai zainab . . . . .