Kanz e Aza

Hussain Janam

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Aijaz Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

hussain jaanam hussain jaanam


maqtal mein khule sar yehi kehti rahi maadar

hussain jaanam hussain jaanam

pyase gale pe chala haye zulm ka khanjar

hussain jaanam...


sehra e karbala mein hua zehra ka nazool

beti ke saath rote huwe aa gaye rasool

zehra ka baazu thaame huwe rote hai haider

hussain jaanam...


dekho na alamdar raha aur na lashkar

na aun o mohamed rahe na qasim o akbar

ladte huwe laakhon se nazar aaye jo sarwar

hussain jaanam...


ladte hue shabbir ne jis dam suni sada

ay nafse mutmain aa palat kehta tha khuda

sajde mein rakha shaah ne sar khaak ke upar

hussain jaanam...


khanjar ko liye haaton mein wo shimr chala hai

pyase gale pe shaah ke khanjar ko rakha hai

ye dekh ke roti rahi shabbir ki maadar

hussain jaanam...


kehte thay ke ay shimr ye ahmed ka pisar hai

aur pyaas ki shiddat se jala uska jigar hai

pani usay pilado dua denge payambar

hussain jaanam...


sar khole huwe fatema karti rahi faryad

sar kaat ke hathon mein utha legaya jallaad

zainab ne dare qaima se dekha tha wo manzar

hussain jaanam...


khoon aasman se barsa udhar karbobala mein

aur fathe ki naubat baji wan ahle jafa mein

sajjad se kehti thi utho abid e muztar

hussain jaanam...


sajjad ne tab chaunk ke sar apna uthaya

sar hazrate shabbir ka wan naize pe paaya

kehte thay salaam aap pe ay zehra ke dilbar

hussain jaanam...


farmati thi zehra ke mere yusuf e saani

pyase hi gaye dunya se paaya nahi pani

ab khuld mein nana tere denge tujhe kausar

hussain jaanam...


zehra se ye farmane lage ahmad e mukhtar

de sabr tujhe fatema ab khaaliq e ghaffar

zibhe azeem bangaya hai ab mera sarwar

hussain jaanam...


farmate thay ye zehra se ro ro ke murtaza

zaalim ne mere bache ko maara hai be-khata

shabbir ke laashe pe yehi kehte thay hyder

hussain jaanam...


ye sab ghulam aap ke hai hazrate shabbir

aijaz o aaqif ki badhi is liye taukeer

rote huwe kehte hai jo aakar sare mimbar

hussain jaanam...