ro ro ke sada deti thi ye shaah ki dukhtar
mar jaungi baba mar jaungi baba
mat jaaye khade ran may hai ye shaam ke lashkar
mar jaungi baba mar jaungi baba
kyun apne badan pe hai ye hathyar sajaate
was waas hai aate
ye dekh ke chalte hai mere qalb pe nashtar
mar jaungi baba mar jaungi baba
sunti hoo ke haathon may liye shimr hai khanjar
ay saaqi e kausar
baad aap ke hojayega jeena mera do bar
mar jaungi baba mar jaungi baba
jaate ho to pehle hamay pahunchado madina
wahan roye sakina
ya itna batado hai kahan marqad e hyder
mar jaungi baba mar jaungi baba
qasim hai na akbar hai na hai hazrate abbas
jeene ki nahi aas
lagta hai phupi amma ki chin jayegi chadar
mar jaungi baba mar jaungi baba
humko aseer karke ye le jayenge jab shaam
roungi mai har gaam
mazloom ke sar par wahan barsaenge pathar
mar jaungi baba mar jaungi baba
jo bhi gaya ran ko nahi aaya wo palat kar
abbas na akbar
ab aap ka sadma mai utha paungi kyun kar
mar jaungi baba mar jaungi baba
zakir bana ke baksha hai zehra ne ye farhan
tumko bhi ay aijaz
majlis may bapa hashr hai is soz ko sunkar
mar jaungi baba mar jaungi baba