Kanz e Aza

Ye Azadari e Sarwar

A noha written by Aijaz Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

ye azadari e sarwar hai hamari zindagi

is azadari se paayi raahe haq ki roshni


kuch zabano par tha kal labbaik ya maula hussain

ab ye naara banta jaata hai sada e aalami

ye azadari e sarwar...


hum nahi mit payenge karle koi kitna sitam

jabr o istebdaad dunya aazmati hi rahi

ye azadari e sarwar...


faatah e badr o ohad ke chahne waale hai hum

hum se larza hai dehr ke marhabi o antari

ye azadari e sarwar...


pehle allah phir mohamed baad may mamual ali

hai yehi haq ma siwa is ke hai deen e aazri

ye azadari e sarwar...


is azadari ke dar pe hai zamana gham nahi

matam e sarwar ke zaamin hai jab ibne askari

ye azadari e sarwar...


ambiya matam kuna hai jiske gham may wo hussain

hai hamay bhi faqr ke hum hai hussaini matami

ye azadari e sarwar...


haa yuhin jaari rahega shor o girya ta'abad

majlis o matam ki binte zehra hai baani bani

ye azadari e sarwar...


maa ko tha armaan ali akbar ke sehre ka bahot

baad e akbar qalb e maa se phir na veerani gayi

ye azadari e sarwar...


haa hussain ibne ali hai sabr ka parwardigar

thi nikaal kis tarha akbar ke seene se ani

ye azadari e sarwar...


ek naize se kiya abbas ne darya fatah

askhiyan may khauf o hairat ki farawani hui

ye azadari e sarwar...


kab kahan tehra hai baatil sheh ke gham se saamne

haq falak baatil zameen ke se ho koi hamsari

ye azadari e sarwar...


hai dua nauhe may aijaz o hassan ke ishtiyaq

ay khuda marham ho qalb e zehra ka ye shayari

ye azadari e sarwar...