kis sher ki aamad hai ke ran kaamp raha hai
ran ek taraf charke kohan kaamp raha hai
rustom ka badan zer e kafan kaamp raha hai
har ek salateen e zaman kaamp raha hai
shamsheer bakaf dekh ke hyder ke pisar ko
jibreel sameinte hue phirte hai paron ko
hyder ka laal aaya tha maidan mein jis ghadi
dam ruk gaya sipaah ka rangat bhi thi udi
hyder ka laal aaya tha...
tareekh karbala mein hai tehreer is tarha
be taygh jang hazrate abbas ne ladi
hyder ka laal aaya tha...
pahuncha tha aisi shaan se wo jaanib e furaat
dam bhar bhi tehr paaya nahi koi lashkari
hyder ka laal aaya tha...
ehsaan-mand hogaya pani bhi us ghadi
nehre furaat mashk e sakina mein jab bhari
hyder ka laal aaya tha...
chupke kiya wo waar ke baazu qalam huwe
daaton mein mashk leke chala sher e hyderi
hyder ka laal aaya tha...
nagaah ek teer se jab mashk chid gayi
khoon roya yaad aayi sakina ki tishnagi
hyder ka laal aaya tha...
saqqa e ahlebait ke sar pe laga jo gurz
sar paara paara hogaya chaane lagi ghashi
hyder ka laal aaya tha...
ghode se jab gire to sada di imam ko
aaqa salaam tumpe hai ye mera aakhri
hyder ka laal aaya tha...
pahunche sirhane bhai ke jab shaah e karbala
roye hussain bhai ki dekhi jo bebasi
hyder ka laal aaya tha...
farmeina sheh ne bhai se kuch hum se bhi kaho
ghazi ye bole aaqa hai is waqt aajizi
hyder ka laal aaya tha...
ek aankh mein hai khoon to ek aankh mein hai teer
kar loo ziarat aap ki hojaye roshni
hyder ka laal aaya tha...
rote huwe hussain ke rukh par nazar padi
abbas roya dekh ke sarwar ki bebasi
hyder ka laal aaya tha...
bole hussain ghazi se khwahish hai ek meri
mai jaanta ho tumko hai kya meri aashiqui
hyder ka laal aaya tha...
ta umr aaqa kehte rahe mujhko ye bhai tum
ek baar bhai kehke pukaro mujhe abhi
hyder ka laal aaya tha...
ghazi ne bhai kehke pukara hussain ko
ki aankh band ghazi ne janant ki raah li
hyder ka laal aaya tha...
aqif yehi hai midhat e abbas ka aijaz
zere qadam hai apne jahan ki sikandari
hyder ka laal aaya tha...