mai touq o salasal me giraftaar hu'n baba
itna bhi nahi sonchte bimaar hu'n baba
ab itni naqahat hai ke ghash khata hu'n baba
durra koi lagta hai to girjaata hu'n baba
be-monis o be-yaar o madadgaar hu'n baba
itna bhi nahi sonchte bimaar hu'n baba
bechain sa rehta hu'n mai zakhmau'n ke sabab se
lagta hai nikal jayegi ab rooh badan se
zinda hu'n magar jeene se bezaar hu'n baba
itna bhi nahi sonchte bimaar hu'n baba
jab khaati hai chehre pa wo zalim ke tamache
takti hai badi yaas se chehre ko hamare
dil gham se phata jaata hai ghamkhaar hu'n baba
itna bhi nahi sonchte bimaar hu'n baba
sar nange hai zainab to laee'n haste hai'n saare
sar uthta nahi baba mera sharm ke maare
bewaao'n ka mai qafila salaar hu'n baba
itna bhi nahi sonchte bimaar hu'n baba
har gaam pe hota hai sitam mujhpe nirala
bejurm o khata khaata hu'n barchhi kabhi bhaala
mai aapki nusrat ka talabgaar hu'n baba
itna bhi nahi sonchte bimaar hu'n baba
kuch aise mujhe jakda hai zanjeer e sitam se
mumkin nahi behlau'n sakina ko jo badhke
abid ne kaha bekas o lachaar hu'n baba
itna bhi nahi sonchte bimaar hu'n baba
be aab o ghiza saath moharram se sakina
har gaam sitam sehti hai haaye wo yateema
is gham se mai jaa'n dene ko tayyaar hu'n baba
itna bhi nahi sonchte bimaar hu'n baba
hai touqe gara'n halq me aur pusht me langar
ab kisse kaho sadme utha ta hu'n jo dil par
hai tum ko khabar tanha hu'n be-yaar hu'n baba
itna bhi nahi sonchte bimaar hu'n baba
hai zakhmi badan uspe ghazab pyaas ki shiddat
chalne ki nahi jism me do gaam bhi quwwat
halat ye hai ab marne ko tayyar hu'n baba
itna bhi nahi sonchte bimaar hu'n baba
beparda jo bazaar me sab ahle haram hai'n
mai sharm se marjau'n ye mere liye kam hai
aajao ke be yawar o ansaarhu'n baba
itna bhi nahi sonchte bimaar hu'n baba
har waqt qamar lab pe the sajjad ke naale
har gaam sahu'n kaise ye gham paalne waale
maa behne khule sar hai mai lachaar hu'n baba
itna bhi nahi sonchte bimaar hu'n baba