Kanz e Aza

JAATE HO SUWE MAQTAL ABBAS KHUDA HAFIZ

A noha for Hazrat Abbas (a.s), written by Ali Jaweed Maqsood and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Bole ye Shahe waala Abbas Khuda hafiz

Ab hogaya ghurbat ka ehsaas Khuda hafiz

Ham hogaye jeene se be aas Khuda hafiz

Faryaad kuna sab ki hai pyaas Khuda hafiz


Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz


Har simt se aati hai rone ki sada Bhai

Sab Ahle Haram dar par karte hain buka Bhai

Parde ka na chaadar ka kuch hosh raha Bhai

Aate hain unhein kya kya waswaas Khudahafiz


Jaate ho suwe maaqtal Abbas Khuda hafiz


Mazloom hain ham kitne kya waqte musibat hai

Dikhlaaein kise Bhai jo qalb ki haalat hai

Har saans ek aafat hai har lamha qayamat hai

Khaamosh hain lab dil me hai yaas Khudahafiz


Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz


Phirne lage aankhon me ab dard ke sab manzar

Wo lut'te huwe khaime Wo jalta huwa bistar

Wo neel tamaanchon ke Wo chhinte huwe gohar

Hai kaon Ghareebon ke ab paas Khuda hafiz


Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz


Hone se Tere rukhsat dil toot gaye Bhayya

Ab to koi pyaasa bhi paani nahi'n maangega

Mazloom musibat me ab kis ko sada Dega

Khaamosh rahegi ab har pyaas Khuda hafiz


Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz


Ab Shere Jari Tum se lashkar ki bhi zeenat thi

Har ranj me aafat meGham sehne ki taaqat thi

Tum saath rahe jab tak Shabbir ko himmat thi

Ab jeene ka armaa'n hai naa aas Khuda hafiz


Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz


Kya sakht musibat hai Abbas Tera jaana

Gham hogaya phir taaza Baba ki musibat ka

Ab wagt aseeri ka Zainab ko yaqee'n aaya

Sach hote hain bewon ke waswaas Khuda hafiz


Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz


Taari tha Sakina pa ghurbat ka ajab aalam

Maidaan ko jaata tha Shabbir ka jab zaiGham

Aati rahi khaimon se bas ek sada paiham

Abbas Khuda hafiz Abbas Khuda hafiz


Jaate ho suwe maqtal Abbas Khuda hafiz