jab ran mein alamdar ki shamsheer chali hai
aayi hui baali pe qaza kis ki tali hai
yun panjetan e paak ka guldasta saja hai
do phool hai do gunche hai aur ek kali hai
jab ran mein alamdar ki...
jibreel bichaate to ho par apne zameen par
par itna samajh lena ke ye tayghe ali hai
jab ran mein alamdar ki...
haq ne hamay bheja hai paye matam e sarwar
dunya ki nahi rasm ye farz e azali hai
jab ran mein alamdar ki...
bano ke ye naale thay ke aajao ab asghar
phailaye huwe haath ye maa kok jali hai
jab ran mein alamdar ki...
kehti thi ye zainab ke na yun maar tamache
ay shimr sakina bade naazon ki pali hai
jab ran mein alamdar ki...
thay shimr ke darbar e yazeedi mein ishaare
wo bewa e abbas hai ye binte ali hai
jab ran mein alamdar ki...
be-gor o kafan chod ke aaghosh ke paale
zainab to rasan basta suye shaam chali hai
jab ran mein alamdar ki...