janaza bhai hasan ka utha rahe hain hussain
gham e firaaq me aansu baha rahe hain hussain
hasan ko zehr se jaa'da ne kardiya hai shaheed
sar apna peet ke sab ko bata rahe hain hussain
tadapte rote bilakte yateem bachchau'n ko
dilasa de ke gale se laga rahe hai'n hussain
pachhade khati hai'n kulsoom roti hain zainab
jo ghar se leke jananze ko jaa rahe hai'n hussain
sitam ke teer baraste hai'n ab janaze par aur apne sabr ke jouhar dikha rahe hain hussain
huwa hai aaj baradar juda mera mujhse
tadapke sab ko ye nouha suna rahe hain hussain
na dafn karne diya jab nabi ke pehlu me
suwe baqee janaza bhadha rahe hain hussain
zameen girya kuna hai falak larazta hai
lahad me lashe baradar lita rahe hain hussain
dua ye hai koi aaker kahe kamaal chalo
mazaar par tumhe apni bula rahe hai hussain