Kanz e Aza

Janaza Hydere Karrar

A noha for Imam Ali (a.s), written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ghul pad gaya ke sayyed e abraar mar gaye

matam karo ke hyder e karrar mar gaye


ghar se uth'ta hai janaza hyder e karrar ka

rote hai sab sun ke nauha zainabe ghamkhar ka


baap bhi ab jaa raha hai maa ka saaya bhi nahi

haye tanhaai ka aalam shaah ke ghar baar ka

ghar se uth'ta hai...


zainab o kulsoom kaise dekhengi baba ka haal

sar do paara ho chuka haid zakhm hai talwaar ka

ghar se uth'ta hai...


kehte hai abbas ro kar ay mere bhaiya hussain

ye safar hai aakhri khaaliq ke rozedaar ka

ghar se uth'ta hai...


ro diye ghar ki taraf aate huwe zakhmi ali

jis ghadi dekha tha manzar kufe ke bazaar ka

ghar se uth'ta hai...


ye hassan bole sambhalo bibiyon ko ay hussain

dekha jayega na manzar aakhri deedar ka

ghar se uth'ta hai...


hazrate abbas ki choti behan behaal hai

ab yateema hai laqab is kamsin o nachaar ka

ghar se uth'ta hai...


zainab e dilgeer ki chadar ko hyder choom kar

dayr tak dheka kiye chehra alam bardaar ka

ghar se uth'ta hai...


ro diye be-saakhta beti ko lipta kar ali

yaad us dam aagaya manzar bhare darbar ka

ghar se uth'ta hai...


dafn majid kar rahe thay murtaza ko jab hassan

haath ubhra qabr se tab ahmed e mukhtar ka

ghar se uth'ta hai...