jo sajda hota hai mukhtas payambari ke liye
rasool ne usay choda hussain hi ke liye
nabi khuda ke liye hai ali nabi ke liye
na ho ye raat to koi nahi kisi ke liye
jo sajda hota hai...
ali ali hi kiye jao zindagi hai yehi
hai arsh mehwe sama'at ali ali ke liye
jo sajda hota hai...
ali wali bhi hai nafse nabi bhi maula bhi
shaoor shart hai quran se aagahi ke liye
jo sajda hota hai...
zara ye dekhna ay dil wo karbala to nahi
chala hai kaaba kidhar kasbe roshni ke liye
jo sajda hota hai...
salaam khaana e zehra tere charaghon par
bujhe hai shamme risalat ki roshni ke liye
jo sajda hota hai...
faraat mein bhi sakina ka aks hi dekha
hai tashnagi ka hai eesaar tashangi ke liye
jo sajda hota hai...
kahan wo raakibe doshe nabi kahan khanjar
ye lamha dard ka unwaan hai har sadi ke liye
jo sajda hota hai...
na cheen chadare zainab na cheen sar se rida
khuda ke waaste ay kalmago nabi ke liye
jo sajda hota hai...