Kanz e Aza

Kab se Bechain Hoo

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Sachey Bhai. Lyrics in Roman Urdu.

jab shaam ke zindan mein kohraam bapa

bain se bali sakina ke larazti hai fiza

sard hai saara badan zard hai gham se chehra

aah karti hai to hil jaata hai zindan saara

khwaab se chaunk ke uth baithi hai roti roti

apne seene se lagaye huye baithi hai phupi

roke kehti hai ke baba mere paas aaye thay

phupi amma wo yahin paas mere baithe thay

mujhse kehte thay mera dil nahi lagta beti

aaja ab aaja meri godh mein aaja beti


kabse bechain hoo surat to dikhado mujhko

phupi amma mere baba se milado mujhko


wo yahin honge kahin aap zara de to sada

kahiye unse meri jaanib se ke beti ho fida

door hi se zara awaaz sunado mujhko

kabse bechain hoo...

phupi amma mere...


gham se phat jayega beti ka kaleja baba

baksh do mujhko agar ki ho koi maine khata

hoo sazawaar par itni na saza do mujhko

kabse bechain hoo...

phupi amma mere...


shukr allah ka mushkil hui asaan meri

kat gaye qaid ke din aagayi ruqsat ki ghadi

ab safar khair se guzre ye dua do mujhko

kabse bechain hoo...

phupi amma mere...


hai khushi ki ye ghadi aankh na kije purnam

aap ko deti hoo mai aun o mohamed ki qasam

muskurate hue jaane ki raza do mujhko

kabse bechain hoo...

phupi amma mere...


bandh aankhein hui jaati hai meri dekhe zara

loriyan deti hai mujhko koi manoos sada

neendh aati hai phupi jaan sulado mujhko

kabse bechain hoo...

phupi amma mere...


maangiye ab na duayein mere jeene ke liye

dekhiye aagaye baba mujhe lene ke liye

qibla rooh karke phupi jaan lita do mujhko

kabse bechain hoo...

phupi amma mere...


haye taqdeer ke mar kar bhi rahi zindan mein

qabr bhi paayi to bachi ne wahin zindan mein

kya khata ki thi sakina ne batado mujhko

kabse bechain hoo...

phupi amma mere...