Kanz e Aza

Kahan Gaye Ammu

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Anwar Zahir. Lyrics in Roman Urdu.

batao ay baba kahan gaye ammu

sakina kehti thi baba kahan gaye ammu


nazar alam nahi aata kahan gaye ammu

sakina kehti thi baba...


mai ab na maangungi pani unhe bula lije

ye kahiye roti hai dukhiya kahan gaye ammu

sakina kehti thi baba...


ye keh gaye thay ke le aaunga abhi pani

wo dekho saamne darya kahan gaye ammu

sakina kehti thi baba...


ye mujhse kehti hai madar tumhi ne bheja hai

bulao tum hi sakina kahan gaye ammu

sakina kehti thi baba...


chale jo shaah to ro kar sakina chillayi

abhi to fikr hai baba kahan gaye ammu

sakina kehti thi baba...


layeen tamache dikha kar mujhe daraate hai

ye mujhse kehte hai aada kahan gaye ammu

sakina kehti thi baba...


ye kehte kehte wo behosh hogayi anwar

nahi koi ye batata kahan gaye ammu

sakina kehti thi baba...