shaam ke zindan may ek choti si qaidi
haathon may paon may aur gardan may hai rassi
aur seene pe baba ka hai sar sar se hai lipti
moo pe moon ko rakh ke bahot dayr wo royi
haye rote rote us ne jo li aakhri hichki
zindan may dam tod gayi shaah ki pyari
sakina sakina
karte thay sajjad ye nauha
kaise mai dafnaun sakina
qaidi agar qaid may mar jaata hai koi
laash ko rassi se chuda dete hain us ki
zakhmon may paywast rasan hai tere aise
maine teri laash se rassi nahi kholi
laasha bikhar jaye kahin na
kaise mai dafnaun sakina...
khoon rulaata hai ye manzar meri behna
jism tera khoon may hai tar meri behna
haathon pe laasha hai tera soch raha hoo
ghusl ko pani bhi mayassar nahi behna
tu hi bata de meri behna
kaise mai dafnaun sakina...
kaisi musibat ye padi door watan se
baba bhi mehroom hai aur tu bhi kafan se
chaahun chudhana to chuda bhi nahi sakta
khoon bhara kurta jo chipka hai badan se
tera kafan hai yehi kurta
kaise mai dafnaun sakina...
yaad mujhe aata hai ay ghamzada khwahar
mujhse yehi poochti rehti thi tu aksar
dafn mai ho jaun agar qaid e sitam may
shimr na aa jaye kahin meri lehad par
ab isi zindan may dukhiya
kaise mai dafnaun sakina...
tu hi nahi teri to saansein bhi thi qaidi
dekhi nahi pehle kahin aisi aseeri
sona jo chaaha to tujhe neend na aayi
rona jo chaaha to tamachon ki saza thi
hogi teri qabr bhi tanha
kaise mai dafnaun sakina...
mazhar o farhan yehi baat hai nauha
haathon pe ek qaidi ke ek qaidi ka laasha
kaise bandhe haathon se mai qabr banaun
sab ko rulaata tha ye sajjad ka jumla
haye wo sajjad ka kehna
kaise mai dafnaun sakina...