Kanz e Aza

Karbala Tayyar Hai

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

masjid bhi ro rahi hai kaaba bhi ro raha hai

hyder ka qatl kya hai aaghaaz e karbala hai


karbala tayyar hai karbala tayyar hai

khoone hyder keh raha hai karbala tayyar hai


sogh mein doobi fiza hai karbala tayyar hai

khoone hyder keh raha hai karbala tayyar hai


aaye jab masjid se ghar mein zakhmi ho kar murtaza

baap ko tar khoon mein dekha ro ke zainab ne kaha

ab mujhe aisa laga hai karbala tayyar hai

khoone hyder keh raha hai...


aagayi sakte mein fizza kyun ye kya jaane koi

paaon mein baithi thi beti aur sarhane koi

keh ke ghazi chup khada hai karbala tayyar hai

khoone hyder keh raha hai...


umme haani aur khadija ro ke ye kehne lagi

is qadar hai zakhm gehra khoon mein tar hai jabeen

haan ye manzar keh raha hai karbala tayyar hai

khoone hyder keh raha hai...


fajr se yun rote rote bol uthi shaam e aza

rozadaron khaak udao hai ye ayyaam e e aza

dil sabhi ka sochta hai karbala tayyar hai

khoone hyder keh raha hai...


phaynk kar chadar saron se betiyan hai mehwe gham

shaahe deen nauha kuna hai baith kar zer e alam

binte zehra berida hai karbala tayyar hai

khoone hyder keh raha hai...


pehla gham zehra ka jaana doosra hyder ka gham

khud saf e matam bicha kar bol uthe shaah e umam

farshe gham ki ibteda hai karbala tayyar hai

khoone hyder keh raha hai...


ab kahan taab e sukhan hai bas labon par jaan hai

safdar o mazhar ye nauha dard ka quran hai

ek mukammal marsiya hai karbala tayyar hai

khoone hyder keh raha hai...