khaak e shifa pe farz jo sajda hai ay hussain
dunya tere wajood ko maanegi ek din
kya teri manzilat hai ye jaanegi ek din
shayad ke teri qabr bhi kaaba hai ay hussain
khaak e shifa pe farz...
tere lahoo ka ek ek khatra hai la jawab
milti nahi jahan mein teri koi bhi misaal
ye martaba ke maa teri zehra hai ay hussain
khaak e shifa pe farz...
saahil pe sar patakta hai maujaon ka ikhtiyar
jaise ke roye asghar e baysheer ko rabab
pyasa lab e furaat pe kunba hai ay hussain
khaak e shifa pe farz...
tune lahoo diya to bacha deen e mustafa
maqrooz tere hogaye ye saare ambiya
dunya mein har jagah tera charcha hai ay hussain
khaak e shifa pe farz...
sar ko jhukaye chalta hai kaaton pe wo magar
gardan mein tauq paon mein bedi lahoo jigar
saabir teri tarha tera beta hai ay hussain
khaak e shifa pe farz...
zainab hai sar barehna agar tu hai be-kafan
taqdeerein uski ban gayi ye zulm ki rasan
zainab ke dil pe ek hi sadma hai ay hussain
khaak e shifa pe farz...
sar nange dekh aayi hai bazaar e shaam tak
qaidi ki tarha pahunchi hai darbar e shaam tak
ye imtehan e zapt bhi kaisa hai ay hussain
khaak e shifa pe farz...
ye mazhar abidi ka aqeeda bhi hai bata
jayega tere rauze pe humraah kamran
dil mein ye aarzoo tha padna hai ay hussain
khaak e shifa pe farz...