Kanz e Aza

Khaali Jhoola

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Mazhar Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

khamosh hai veeran hai sunsaan hai maqtal

ek maa ki sada sun ke pashemaan hai maqtal


khaali jhoole ko ye maa kaise jhulaye asghar

tera jaana jo mere dil ko dukhaye asghar


aa tere khoon bhare kapde badal doon beta

khaak aur khoon mein hai chand sa chehra tera

maa ye ashkon se tera chehra dhulaye asghar

khaali jhoole ko ye...


aa tere qadh se bada teer jo maara tujhko

aaja aaghosh meri degi dilaasa tujhko

chand lamhon ke liye chain to paaye asghar

khaali jhoole ko ye...


tere jhoole ki taraf dekh ke dil rota hai

kya kisi se pidar yun bhi juda hota hai

zakhm furqat ka teri maa ko rulaye asghar

khaali jhoole ko ye...


dekh le ghar ki tarha godh bhi ujdi meri

maa ki aankhon se juda kaise ho tasveer teri

neend aaye na mujhe gham ye jagaye asghar

khaali jhoole ko ye...


mujhpe kya baat gayi kaise bataun asghar

dhoop mein qabr teri dekh rahi hai maadar

tu bata kaise ye maa saaye mein jaaye asghar

khaali jhoole ko ye...


bhool sakti hi nahi jhoole se jaana tera

khaa ke ek teer e sitam pyaas bujhana tera

jiske seene mein hai dil usko rulaye asghar

khaali jhoole ko ye...


maa ki faryad suni safdar o mazhar hum ne

mera waada hai sanad khuld ki doongi mai usay

jo tere jhoole pe ye nauha sunaye asghar

khaali jhoole ko ye...