loriyon waale raj dulaare
ay mere pyare haye ali asghar
haye ali asghar haye ali asghar
loriyon waala mera jal gaya jhoola tera
tu kahan hai mere asghar dhoondti phirti hai maa
godh ujdi hai meri ghar bhi ujda hai mera
tu kahan hai mere asghar dhoondti phirti hai maa
kyun hua mujhse khafa kya hui maa se khata
kar ke jo veeran jhoola tu gaya suye qaza
hai nigahon may meri har ghadi chehra tera
tu kahan hai mere asghar...
ay mere noor e nazar ay mere lakhte jigar
band jab aankhein karun mai aaye bas tu hi nazar
khwab may doo loriyan doo kabhi dar pe sada
tu kahan hai mere asghar...
aa dhula doo moo tera khaak o khoon may hai atta
aa mere asghar badal doo khoon bhara kurta tera
teer jab tujhko laga khoon may tar hogaya
tu kahan hai mere asghar...
shiddat e gham kha gayi qalb ko tadpa gayi
maa ke bin ay laal tujhko kis tarha neend aagayi
kisne di lori tujhe dasht may ye to bata
tu kahan hai mere asghar...
zindagi dushwar hai maa teri ghamkhwar hai
dhoop may hai qabr teri maut matamdar hai
raaton ko uth uth ke mai karti rehti hoo buka
tu kahan hai mere asghar...
teer se karke shaheed mutmain kab thay yazeed
qabr se laasha nikaala phir kiya tujhko shaheed
le gaye wo sar tera baad uske kya hua
tu kahan hai mere asghar...
mesum o mazhar wo gham ho nahi sakte raqam
bain jab karti thi maadar rote thay ahle haram
sirf is faryad par qaime may kohraam tha
tu kahan hai mere asghar...