Kanz e Aza

Mai Zainab Hoo

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

logon mai ali ki beti hoo

kainain ki mai shehzadi hoo

mai zainab hoo mai zainab hoo


be chadar hoo aur qaidi hoo

bazaar mein ro kar kehti hoo

mai zainab hoo mai zainab hoo


kis shaan se nikli thi ghar se

is gham ne rulaaya tha mujhko

baazu se pakad kar ghazi ne

mehmil mein bithaya tha mujhko

wo manzar soch ke roti hoo

hairaan mai khud par hoti hoo

mai zainab hoo mai zainab hoo

logon mai ali ki...


jab khaafla us ke ghar pahuncha

shireen ne mujhe pehchana nahi

qadmon se lipat kar rone lagi

jab maine kaha kyun jaana nahi

pardes mein lut kar aayi hoo

pehchaan mai aaqa zaadi hoo

mai zainab hoo mai zainab hoo

logon mai ali ki...


jis waqt sare muslim dekha

sajjad ke lab par tha nauha

pehle to salaami di maine

phir rote huwe muslim se kaha

qismat ki rasan mein jakdi hoo

aankhon se salaami deti hoo

mai zainab hoo mai zainab hoo

logon mai ali ki...


hamraah kaneezon ke ek din

zindan e sitam mein hind aayi

zainab se kaha jab kaun hai tu

zainab ye sukhan lab par laayi

mai ranj o alam ki maari hoo

aur sher e khuda ki beti hoo

mai zainab hoo mai zainab hoo

logon mai ali ki...


zindan se reha ho kar qaidi

jab karbobala mein aaye thay

bhai ki lehad par jaate hi

yun bain kiye thay zainab ne

kuch neel rasan ke laayi hoo

tera chehlum karne aayi hoo

mai zainab hoo mai zainab hoo

logon mai ali ki...


sajjad se kehti thi ro kar

darbar mein kis tarha jaun

mai sharm o haya ki shehzadi

ay kaash zameen mein gad jaun

mujrim ki tarha se chalti hoo

khaaliq se duhaai deti hoo

mai zainab hoo mai zainab hoo

logon mai ali ki...


athara biradar thay jiske

wo bibi rida ko roti hai

wo zakhm diye hai ummat ne

marham ko dawa ko roti hai

har kalmago se kehti hoo

kyun aaj rida ko tarasti hoo

mai zainab hoo mai zainab hoo

logon mai ali ki...


pahunche jo madine ahle haram

tha mesum o mazhar hashr bapa

sughra se kaha shehzadi ne

chehre pe mere kar ghaur zara

zindan se chut kar aayi hoo

baalon mein safedi laayi hoo

mai zainab hoo mai zainab hoo

logon mai ali ki...