main kaabe ki beti hoon - na chino meri chadar
roro ke yahi kehti hoon - na chino meri chadar
1. tukdey kardale tum ne afsoos mere qasim ke
pamaal kiya wavaila sab phool bani hashim ke zinda
na palatkar aaya maidan se mera asghar
2. jungal mein bulakar tum ne mere bhai ko mara hai
mere akber ko mara hai mere gazi ko mara hai
karbal mein luta hain kunba keh doongi maa se jakar
3. hurmat hai badi kabe ki khaliq ki nazar mein dekho
is chadar ki hurmat bhi kaabe jaisi hai samjho
kaaba hojaye be parda chin jaye agar yeh chadar
4. kya azmath hai quran ki hogi yeh qabar kuch tumko
quran mere is sar ka karta hai tawaf aye logon
tum sab ka rehbar quran hum hain quran ke rehbar
5. himmat yeh kahan thi tum mein ab jis ka dum bharte ho
ek ghazi ke marne par be parda mujhe karte ho
abbas mera jo hota na chinti meri chadar.
6. meri nasl fida hojaye par bhai mera bachjaye
meri daulat-e-jaan khojaye par bhai mera bachjaye
pura na huwa yeh armaan main hogayi bekas be par
7. misl-e-abbas-e-jari jab girti farsh-e-zameen par
mere hath pasey gardan the nasir tha na koi yawar
sar naize se bhai ka deta tha dilasa rokar
8. hum hashmi ke nouhe mein andaaz-e-buka dete hai
karte hain jo sunke matam hum unko dua dete hai
padhta hai raza jab nouha rodeti hai meri madar