Mere Hussain Teri Maa Kaha Kaha Roye
Bala ke dasht ke manzar hai, sab nigaho me, Howe hai aal e Nabi par, joh zulm raaho me, Sada e Fatima Zehra, thi yeh fazaao me, Mere Hussain teri maa, kaha kaha roye (×4)
Bacha na koi bhi, Zainab ka monis o yawar (×2)
Shaheed hogaye, Abbas o Qasim o Akbar, Na paas Aun o Mohammad, hai na Ali Akbar, Mere Hussain teri maa, kaha kaha roye (×2)
Meri nighaah ne, aisa bhi saaneha dekha (×2)
Layeen lashaa e Asghar ko dhoonte nikla
Lahad ko khod ke bache ke sar ko kaatliya, Mere Hussain teri maa, kaha kaha roye (×2)
Sina joh seena e Akbar se tune khencha hai (×2)
Sina ke saath me, lipta howa kaleja hai, Uthegi kaise jawaan laash, tu akela hai, Mere Hussain teri maa, kaha kaha roye (×2)
Zayeef baap se, tanha na uth saka laasha (×2)
Mere ghareeb tu, bacho ko de raha tha sada, Tadap gayi teri ghurbat, pe teri maa Zehra, Mere Hussain teri maa, kaha kaha roye (×2)
Nazar nahi unhe, aaya rasool ka chehra (×2)
Shaheed kardiya, Akbar ko maarkar bhaala, Rasool e paak ki tasveer, ko mita daala, Mere Hussain teri maa, kaha kaha roye (×2)
Guloo e qushk pe, khanjar ko chalte dekha hai (×2)
Nabi ki aal ke, qaimo ko jalte dekha hai, Rida e Zainab o Kulsoom chinte dekha hai, Mere Hussain teri maa, kaha kaha roye (×2)
Tadap raha hai mera laal, jalti reyti par (×2)
Zameem e garm ke chubte hai zaqm me kankar, Bada hai shimr e layeen haath me liye khanjar, Mere Hussain teri maa, kaha kaha roye (×2)
Sawaar sina e yaseen pe hai shimr e layeen (×2)
Falak bhi kaanp raha hai, laraz rahi hai zameen, Tu zeyr e tegh hai maqtal, me mere maah e mubee, Mere Hussain teri maa, kaha kaha roye (×2)
Uthao godh se, sar khaak pe rakho amma (×2)
Churi chalegi nighaaho, ko pherlo amma, Gala gale pe na rakhiyo, hataayio amma, Mere Hussain teri maa, kaha kaha roye (×2)
Guloo e khusk se, aati thi yeh sadaa amma (×2)
Tumhare laal ne, vaada wafa kiya amma, Nabi ki aal ka hafiz, hai ab khuda amma, Mere Hussain teri maa, kaha kaha roye (×2)
Sakina Bibi ka masoom phool sa chehra (×2)
Tamache maarke, rukhsar kar diye neela, Rawaan hai kaano se khoon aur, bandha howa hai galaa, Mere Hussain teri maa, kaha kaha roye (×2)