maa kehti thi qurban tumhare ali asghar
pyare ali asghar mere pyare ali asghar
tum pyaas bujhane ke liye ran may gaye ho
darti hoo koi teer na maare ali asghar
maa kehti thi qurban...
jab tum na rahe paas to jeene ka maza kya
bolo mai jiyun kiske sahare ali asghar
maa kehti thi qurban...
gehwara hai khaali kaho ab kisko jhulaun
tum to huwe allah ko pyare ali asghar
maa kehti thi qurban...
dunya meri tareek hai tum jab se gaye ho
aaja meri aankhon ke taare ali asghar
maa kehti thi qurban...
tanhaai may jaan khoti hai ro ro ke sakina
kehti hai ke aajao hamare ali asghar
maa kehti thi qurban...
jo bhi gaya maidan may wo wapas nahi aaya
maa laal kisay keh ke pukare ali asghar
maa kehti thi qurban...
abbas e jari bhool gaye pyaas khud apni
yaad aaye jo darya ke kanare ali asghar
maa kehti thi qurban...
be-aasra zahid ko na samjhe ye zamana
zahid ke hai masoom sahare ali asghar
maa kehti thi qurban...