jab tadape ne ki bhi taaqat na rahi sarwar ko
ghul hua ke ghash aaya khalaf e hyder ko
aur phir shimr badha khaynche huwe khanjar ko
sab se kehta tha ke kaatunga sar e sarwar ko
moo na mai daulate dunya se kabhi pherunga
aaj zahra ke kaleje pa churi pherunga
aayi sada e fatema tars itna to khaa le zaalim
mai maa hoon pyase hussain ki
na khanjar chala ay zaalim isko pani pilade zaalim
mai maa hoon pyase hussain ki
choomte thay payambar jise wo gala
kaise dekhun usay zer e khanjar bhala
jis ka kalma padhe ye zamana
wo mohamed hai iske nana
mai maa hoon...
isko mehman bula kar sataate ho kyun
mere bacche pe khanjar chalate ho kyun
tars itna to khaa ay zaalim
mera dil na dukha ya zaalim
mai maa hoon...
kaise paala hai isko tujhe kya khabar
mera haathon ke chaale huwe nauhagar
kaise dekhun bata de sitamgar
apne bacche ki gardan pe khanjar
mai maa hoon...
chakkiyan pees kar maine paal jise
kya bana hai ye khanjar isi ke liye
qatl karna hi hai gar che tujhko
dasht se door jaane de mujhko
mai maa hoon...
apne pehlu mein isko sulaati rahi
iski raahon se kaante hataati rahi
aaj iske galay pe khanjar
kaise dekhun bata de sitamgar
mai maa hoon...
loriyan isko deti thi mai raat bhar
kitni raatein guzari hai yun jaag kar
kab se soya nahi dilbar
bojh bas hai yehi mere dil par
mai maa hoon...
faaqe kar kar ke khaana khilaya jise
pyasi reh reh ke pani pilaya jise
aath pehron se hai aaj pyasa
kaise de dun tujhe ye asaasa
mai maa hoon...
maa ki faryad farhan kya ho bayan
chashme mazhar se hai khoon ka gajra rawan
chal gaya ibne hyder pe khanjar
nauha karti rahi ban mein maadar
mai maa hoon...