Maidan-E-Karbala Me Yeh Zainab Ke Bain Hai
Abbas Fouj-e-Shaam Me Tanha Hussain Hai
1.Hai Jiske Ek Ishare Me Kounain Ki Najaat
Ghudhe Se Jhoomta Hai Wahin Shah-e-Kayinath
Aajou Ab Madad Ku Hai Kuch Dur Hai Furat
2.Pushte Faras Se Girta Hai Zehra Ka Noor-e-Aain
Rote Khade Hai Aale Paiyambar Bashoor-o-Shain
Zakhmou Se Chur Chur Hai Bhaiya Mera Hussain
3.Buqz-o-Hasad Ke Zulm Ke Tevar Liye Howe
Hamraha Apne Saath Sitamgar Liye Howe
Shimre Layeen Badhta Hai Khanjar Liye Howe
4.Mujh Bad Naseeb Se Mera Bhai Bhichadta Hai
Bhai Ka Kis Behan Ne Nazara Yeh Dekha Hai
Zaanu Daabe Ke Seene Maloon Baitha Hai
5.Zainab Ka Nouha Tha Jameel Akber Yeh Bar Bar
Abbas Aao Nehar Se Tum Par Behan Nisar
Zalim Ne Kaat Daala Sar-e-Shah-eZulfikhar