Kanz e Aza

Maidane Karbala Mein

A noha written by Rehaan Azmi, Fanoos Barwani. Lyrics in Roman Urdu.

tareekh e karbala ka sab ko sabakh hai yaad

hai khoon e sheh ke sadqe tauheed zindabad

chauda sau saal guzre lekin labe rawan se

aati hai ye sadayein masjid ki har azan se


maidan e karbala mein khamosh mayyaton ne

islam ki baqa ka elaan kar diya


hasnain ke lahoo ke cheento ki rehmato ne

dunya ke har bashar par ehsaan kar diya hai


shaah e mardan shere yazdan quwate parwardigar

la fata illa ali la saif illa zulfeqaar


ye hai ali ka rutba abbas unka beta

teeron ki barishon mein mashkeeza bhar raha hai

maidan e karbala mein...


aale iba pani ki ek ek boondh ko haye taraste hai

ahle haram registano mein maare maare phirte hai

sehra e karbala mein un zaalimo ke haathon

sarkar e do jahan ka pyara sa ghar luta hai

maidan e karbala mein...


kya hai rutba aale nabi ka aao mohamed se poocho

baaghe jina ke shehzadon se aun o mohamed se poocho

sajde se sar utha'ta kaise nabi khuda ka

kaandhe pa apne jisne noore nazar liya hai

maidan e karbala mein...


jo bhi gaya maqtal ki taraf laasha uska wapas aaya

aada ne har ek mujahid ko dhoka de kar maara

ansar e shaah e deen ne tauheed ko bachane

ishq e ali mein khud ko qurban kar diya hai

maidan e karbala mein...


baade shahe deen zainabe muztar deen ka alam lekar nikli

shaam aur kufa ke darbaron ko wo ulat kar hi palti

baatil samajh raha tha qatl e hussain kar ke

tauheed ka tasavvur dunya se mit gaya hai

maidan e karbala mein...