Kanz e Aza

Main Aun o Muhammad Ko Tere Pass

A noha for Aon o Mohd (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Main Aun o Muhammad ko Tere paas hun layi


Aur daman e dukhiya main, nahi Kuch mere Bhai


Qurban main karti mere, bhaiya main tumhi par,

hathoon mein agar hoti, mere sari khudayi


Qurbani ko doh laal hain, bhaiya mere hazir, ye arz main karne ko, tere paas hun layi


Aye Bhaiyya Yahan Khoon sey, charaghon ko Jalao

Zulmat sey agar larni hey Sehra mein larai.


Haider ka lahu hai ye bhuja sakta hai pal mai

Dushman nay jo islam ko hai aag lagai