Maidaane jung me jaane Qasim bhi aa rahe hai
Sar ko jhukaae moula aansu baha rahe hai
Qaime ke dar pa maadar bechain ho rahi hai
Qasim chacha ko apne ro kar suna rahe hai
Jaate hai ran me qasim leti hai maa balaae’n
Abbas haat pakde kubra ko laa rahe hai
Hathyaar se sajaakar sheh ne kiya rawaana
Hyder ke hai ye pote jauhar dikha rahe hai
Qaime se saad ke ab kuch faasla hai baqi
Ye housla ho kiska ladte hi jaa rahe hai
Sunte hi hukme hakim toota kaseer Lashkar
Qasim ki naujawaani zaalim mita rahe hai
Paamaal ho gayi hai qasim ki laash ahmad
Tukde badan ke dekho moula utha rahe hai